Posts

Showing posts from November, 2011

SAFAR.. !

Image
Kitna pyara safar hai zindgi , jise har pal ham jeete hai.. Isi duniya ke ek kone me basaye , apna ghar ham rahte hai.. Zindgi dhup bhi hai , chaw bhi, yeh sab kahte hai.. Par ham to ise , zindgi me shamil kuch rang kahte hai.. Udaan to har Panchi ek din khud bharte hai.. Par us udaan ki sahi disha me kam bahte hai.. Udd kar duje desh ja bhi pahucho .. Fir bhi kai dil isi desh me rahte hai... Ise jee bhar ke jiyo to zindgi.. Aur mar mar kar jiyo to saja kahte hai.. Lal rang ko koi kahe rakt .. To kai suraj ki rama kahte hai.. Yeh har ek ki soch hai , jise wo unki nazar kahte hai.. Ankhe khuli ho na ho , din ko dopahar kahte hai.. Sach kaha hai kisine, kudrat jeena sikha deti hai.. Tabhi to koi kahi bhi rahe , duniya ki lahro ke sang bahte hai.. :)

Dard.. !

Image
Bht dard hai in ankho me , bas bayan nahi karte ham..          Dekha hai dard e dil , uhi nahi darte ham.. Mushkilo se sambhala khud ko , ab koi bhul na ho jae.. Fr yeh dil kisi karan se , majbur na ho jae.. Dafn kar di hai sari yadeein teri , us maidan me.. Jaha yeh dil bhul kar bhi nahi jata.. Ha bas wo hawa ka jhoka .. Wo bahti si yado ki mahak hai chod jata.. Shayad us manzar se , darne lage hai ham.. Fir kisi se mohbt karne lage hai ham.. Par ab yeh dil wo pahra na palega.. Azad parinda hai , pero me apne bediya na dalega.. Jab bhi dil awaz lagata hai , me ansuni kar deti hu.. Wajah wo bhi janta hai. , bas us jhut ko yakeen me badal deti hu.. Ab na wo shiddat bachi , na masumiyat kahayalo me.. Kitna bhi dard ho is dil ko , Hans :) kar sah leti hu.. :)

Prem ka dhaga..:)

Image
Mera shauk e shayarana fir se jaga hai.. dil tutte hi jana , yeh prem ka dhaga hai.. jise jodu to bhi , ganth hi pad jana hai.. par yeh kya mere khuda.. me bhul jau is rishtey ko , yeh tera kah jana hai.. Fir is duniya me khud ko akela pana hai.. Fir khud ko khud hi samjhana hai.. me tera sahi par yeh dil uska deewana hai.. kyu mujhe dard e judai se tuze kyu milwana hai.. KHUDA NE HAAS KE FARMAYA.. dekh parindey teri udaan.. mat bhul , lot ke tuze isi zameen par ana hai.. tere apno ne hi tuze sine se lagana hai.. teri kabr me tuze unhone hi dafnana hai.. yeh dil to dil hai iska ek hi fasana hai.. is prem ke sagar me dub hi jana hai.. bahte pani se saaf kuch najar nahi ata .. magar samandar se gahra ab tuze ho jana hai..

Duriiyaa.. :)

Image
kya chipate kya batate , tumhe haal e dil .. Waqt ke faslo ne , duriya badha di.. Jeete the tera naam lekar .. jane kyu yeh majburiya badha di.. Na tham saka wo manjar judai ka.. Na ruk saki wo bahti pawan.. Hua tu mujhse dur kyu.. Anjan the isse yeh dharti aur gagan.. Likha jo kismat ka kon badal paya hai.. Shayad meri yaado ke sahare tu fir lot aya hai.. Par ab manjar kuch aur hai meri zameen par.. Tu lot kar jane kesa tufaan le aya hai.. Bas tham ja wahi tuze meri kasam hai.. Tuze bhulna hai mujhe yeh meri kasam hai.. Tuze pakar mene  jakhm ka karwa jo paya hai.. Yeh zindgi se sauda bas uska marham hai..  :)

Teri yadeein.. !!!!!!

Image
Har baar dil ke darwaze par dastak koi deta hai, Tera hi aks hu koi mujhse kahta hai.. Ahat koi hote hi yeh sanse tham si jati hai, Darwaze par koi nahi teri yadeein rah jati hai.. Har baar dodti raho me ek parchai si dikhti hai, Wo meri hokar bhi mujhsi kyu na lagti hai.. Me mast hawa si udna chahu to pankh kahne lagte hai, Tu khud se bhag nahi sakti ham bhi to kabhi tahakte hai.. Har baar teri jidd koi naya path padhati hai, Tu hans kar kyu apne dil me itne raaz chipat hai.. !!!

My version of "DIL AKHIR TU KYU ROTA HAI"

Image
dil akhir tu kyoun rota hai... thoda pal hai gum ka jeele, thoda hans le thoda role, waqt kaha hai pal pal gin ne ka, waqt ki parchai tu hole...!!! sham dhale to mayusi kyu... har sham subah ke baad ati hai, har ghadi har pal badhti jati hai, fr wapas sawera hota hai... dil akhir tu kyu raota hai... :)

Koshish..

Koshish karne walo ki har nahi hoti... koi naiya (boat) bin patwar nahi hoti!!! Agar hoti har koshish karne walo ki... To koi naiya kabhi par nahi hoti!!!

Hamne dekha hai.. :)

Logo ne khudai ko kahar bante dekha hai, Hamne mithi baton ko jahar bante dekha hai... Logo ne gaon ko shahar bante dekha hai, Hamne kisi dil ko ghar fr kabar bante dekha hai, Zindgi jina sikha jata hai har lamha, Kyunki hamne khushi ke ansu ko gam ka dar bante dekha hai...!!!!!

Pehli baar.. :)

Lafzo ke jariye dil me utarna,hame khub ata hai...  Mohbt, ashiqui, zindgi se sawarna, hame khub ata hai... Chale ate hai shbdon ke diwane, mahfil me hamari... Is jindgi ko lafzo me badlna, hame khub ata hai...!!!!! hey... welcome in my world, my blog...