SAFAR.. !

Kitna pyara safar hai zindgi , jise har pal ham jeete hai..
Isi duniya ke ek kone me basaye , apna ghar ham rahte hai..
Zindgi dhup bhi hai , chaw bhi, yeh sab kahte hai..
Par ham to ise , zindgi me shamil kuch rang kahte hai..



Udaan to har Panchi ek din khud bharte hai..
Par us udaan ki sahi disha me kam bahte hai..
Udd kar duje desh ja bhi pahucho ..
Fir bhi kai dil isi desh me rahte hai...




Ise jee bhar ke jiyo to zindgi..
Aur mar mar kar jiyo to saja kahte hai..
Lal rang ko koi kahe rakt ..
To kai suraj ki rama kahte hai..

Yeh har ek ki soch hai , jise wo unki nazar kahte hai..
Ankhe khuli ho na ho , din ko dopahar kahte hai..
Sach kaha hai kisine, kudrat jeena sikha deti hai..
Tabhi to koi kahi bhi rahe , duniya ki lahro ke sang bahte hai.. :)

Comments

Popular posts from this blog

ना रे, कहा रोइ मैं?

खुद को खोकर क्या पाना..!!

ख़त मेरे अपनों के नाम !!